Ho Baghdad ka phir safar Ghous-e-Azam muhayya wasail woh kar Ghous-e-Azam
Shahanshah-e-Jinn-o-Bashar Ghous-e-Azam ho waliyon ke bhi tajwar Ghous-e-Azam
Main pehle bhi Baghdad hazir hua tha ijazat do baar-e-digar Ghous-e-Azam
Main galiyon mein bistar jama doon phir aakar do Baghdad mein mujhko ghar Ghous-e-Azam
Dikha do mazar-e-munawwar ke jalway dikha do phir apna nagar Ghous-e-Azam
Khuda-o-Nabi ki jo ulfat mein roye ata kar do woh chashm-e-tar Ghous-e-Azam
ata ho mujhe apne Allah ka darr do ishq-e-Shah-e-Bahr-o-Bar Ghous-e-Azam
Mere baithe murshid mujhe phir sharaf de ye sar ho tera sang-e-dar Ghous-e-Azam
Mila silsila Qadri fazl-e-Rab se main hoon kis qadar bakht-awar Ghous-e-Azam
Hamesha tera ishq bechain rakhe ata ho woh soz-e-jigar Ghous-e-Azam
Mujhe apni ulfat ki khairat dedo meri khali jholi do bhar Ghous-e-Azam
Meri doobti nau ko do sahara zara jald aao idhar Ghous-e-Azam
Yahan bhi sahara wahan bhi sahara idhar Ghous-e-Azam udhar Ghous-e-Azam
Mujhe dushmanon ne kahin ka na chora hai faryad! tooti kamar Ghous-e-Azam
Adu ke muqabil woh himmat ata ho rahoon kash! seena sipar Ghous-e-Azam
Madad al-madad murshid warna dushman chala jaan se maar kar Ghous-e-Azam
Zaban par rahe meri ya Peer-o-Murshid tera zikr aathon pehar Ghous-e-Azam
Marahib-e-dunya se peecha chura de ata apni ulfat to kar Ghous-e-Azam
Shaha nafs-e-ammara maghloob ho ab ho Shaitan ka door shar Ghous-e-Azam
Hai isyan ke beemar ka dam labon par khudara lo jaldi khabar Ghous-e-Azam
Tumhein mere halaat ki sab khabar hai pareshan hoon main kis qadar Ghous-e-Azam
Shaha! kash qufl-e-Madina laga loon zaban par bhi aur aankh par Ghous-e-Azam
Bayan sun ke tauba gunahgar kar lein zaban mein woh deed-o-asar Ghous-e-Azam
Main Baghdad ka koi sag hota aur kash! mujhe rakhte tum bandh kar Ghous-e-Azam
Shaheed-e-Madina ho Attar-e-Aasi
Murad iski ye aaye bar Ghous-e-Azam