Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Ho Mubarak Ahl-e-Isiyan, Ho Gaya Bakhshish Ka Samaan
Aagayi Subh-e-Baharan, Ho Gaya Ghar Ghar Charaghan
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Jashn-e-Milad-un-Nabi Hai, Noor Ki Chadar Tani Hai
Roshni Hi Roshni Hai, Dhoom Har Janib Machi Hai
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Aaj Hai Subh-e-Baharan, Jhoomtay Hain Sab Musalman
Ghar Chuka Hai Abr-e-Baran, Rahmaton Se Bhar Lo Daman
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Amina Bibi Ke Ghar Par, Aa Gaya Nabiyon Ka Afsar
Jhuk Gaya Hai Kufr Ka Sar, Par Gayi Hai Dhoom Ghar Ghar
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Amina Bibi Ke Dularay, Ae Dukhi Dil Ke Saharay
Kaun Hai Jo Ab Sanwaray, Mere Bigray Kaam Saaray
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Tum Makeen-e-Lamakan Ho, Aur Haq Ke Razdan Ho
Izne Rab Se Ghaib Dan Ho, Kya Hai Jo Tum Se Nihan Ho
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Awwal-o-Akhir Tum Aaqa, Batin-o-Zahir Tum Aaqa
Hazir-o-Nazir Tum Aaqa, Tayyib-o-Tahir Tum Aaqa
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Aap Sultan-e-Jahan Hain, Dardmand-e-Be-Kasan Hain
Chara-e-Be-Chargan Hain, Be-Amanon Ki Aman Hain
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Tum Habib-e-Kibriya Ho, Aur Imam-ul-Anbiya Ho
Do Jahan Ke Peshwa Ho, Shafee-e-Roz-e-Jaza Ho
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Ya Habib-e-Rabb-e-Dawar, Az Paye Siddiq-e-Akbar
Aur Umar Usman-o-Haidar, Chashm-e-Tar Do Qalb-e-Muztar
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Wasta Ghous-ul-Wara Ka, Hazrat-e-Ahmed Raza Ka
Aur Mere Murshid Piya Ka, Rukh Badal Do Har Bala Ka
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Hub-e-Duniya Se Bacha Lo, Mujh Nikammay Ko Nibha Lo
Dil Se Shaitan Ko Nikalo, Apna Deewana Bana Lo
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Dard-e-Isiyan Ko Mitana, Nek Mujh Ko Tum Banana
Rah-e-Sunnat Par Chalana, Apni Ulfat Mein Gamana
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Badshahat Aur Hukumat, Do Na Tum Duniya Ki Daulat
Do Fakat Apni Mohabbat, Ae Shahanshah-e-Risalat
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Rahmat-ul-lil-Alameen Ho, Aur Shafee-ul-Muznibeen Ho
Fazl-e-Rab Se Kya Nahin Ho, Baad Rab Ke Bas Tumhin Ho
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Tum Madine Mein Bulana, Apna Jalwa Bhi Dikhana
Kalma-e-Tayyib Parhana, Apne Qadmon Mein Sulana
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Ae Shahanshah-e-Madina, Ishq Ka Dedo Khazina
Ho Mera Seena Madina, Arz Karta Hai Kameena
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Rahmat-ul-lil-Alameen, Ho Ata Aisa Qareena
Dekh Kar Meetha Madina, Ishq Mein Phat Jaye Seena
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Naz'a Mein Mehboob-e-Dawar, Kash! Dekhein Roye Anwar
Dekhte Hi Jaan Nichawar, Tum Pe Kar Doon Kash! Sarwar
Ya Nabi Salam Alayka, Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka, Salawatullah Alayka
Ae Madine wale aaqa, jitne hain mutwale aaqa
Sab ke sun le nale aaqa, sab ko tu bulwale aaqa
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Akhri lamhe jab aayen, kaash! woh tashreef layen
Apne jalwon mein gumayen, jhoom kar hum gungunyen
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Gunbad-e-Khazra tumhara, kis qadr hai pyara pyara
Kaash! karte hi nazara, jaan-o-dil kardun nisara
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Qabr mein ho jis dam aana, tum wahan tashreef lana
Chehra roshan dikhana, gor-e-teera jagmana
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Al-Aman! hangam-e-mehshar, pyaas ki shiddat se sarwar
Jab zabanen ayen bahar, tum pilana jam-e-kauthar
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Hashr mein Sarkar aana, mere aybon ko chupana
Apne Rab se bakhshwana, sath jannat mein basana
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Kaash! Attar hazeen ho, aur Madine ki zameen ho
Us ka waqt-e-wapsi ho, aur sarhane tumhen ho
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika, Salawatullah Alaika
Hashr mein Attar ayen, Aap un par reham khayen
Apne daman mein chupayen, aur Rab se bakhshwayen