Ho Naib-e-Sarwar-e-Do Aalam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Ho naib-e-sarwar-e-do aalam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Siraj-e-ummat faqih-e-afkham, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Hai naam Noman ibn-e-Sabit, Abu Hanifa hai un ki kuniyat
Pukarta hai yeh keh ke aalam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Jo be-misal aap ka hai taqwa, to be-misal aap ka hai fatwa
Hain ilm-o-taqwa ke aap sangam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Gunah ke daldal mein phans gaya hoon, gale gale tak main dhans gaya hoon
Nikalo mujh ko baraye Adam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Hasad ki bimari badh chali hai, ladayi aapas mein than gayi hai
Shah-e-musalman hoon munazzam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Diyar-e-Baghdad mein bula kar, mazar apna dikha jahan par
Hain noor ki barishein chham chham, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Ata ho khauf-e-Khuda khudaya, do ulfat-e-Mustafa khudaya
Karoon amal sunnaton pe har dam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Hai dhoom charon taraf sakhi ki, bhari hai jholi har ik gada ki
Ata ho mujh ko bhi Taiba ka gham, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Tumhare darbar ka gada hoon, main sail-e-ishq-e-Mustafa hoon
Karam paye Shah-e-Ghaus-e-Aazam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Fuzool goi ki nikle aadat, ho door be-ja hansi ki khaslat
Darood padhta rahoon main har dam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Bala ka pehra laga hua hai, museebaton mein ghira hua hai
Tera muqallid Imam-e-Aazam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Shahan adu ka sitam hai paiham, madad ko aao Imam-e-Aazam
Siwa tumhare hai kaun hamdam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Na jeete ji mujh pe aaye aafat main qabr mein bhi rahoon salamat
Baroz-e-mahshar bhi rakhna be-gham, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Maroon shaha zer-e-sabz gunbad, ho madfan Aaqa Baqi-e-Gharqad
Karam baraye Rasool-e-Akram, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Hui shaha fard-e-jurm aaid, bacha phansa hai tera muqallid
Farishte le chale jahannam, Imam-e-Aazam Abu Hanifa
Jigar bhi zakhmi hai dil bhi ghayal, hazar fikrein hain sau masail
Dukhon ka Attar ko do marham, Imam-e-Aazam Abu Hanifa