Hum gohein bure qismat hai bhali jab pusht-e-panah un sa paaya
Woh jis ko mile din us ke phire, jo nahin toh Khuda hi paaya
Meraj ki shab hamrah hain sab sidrah aaya koi na raha
Sidrah se badhe Jibraeel rahe tanha hain jo Arsh-e-Khuda paaya
Jibraeel ki aankhon se poocho ae chashm-e-haqeeqat hain kaho toh
Inhein farsh pe tu ne kya dekha, sidrah se badhe toh kya paaya
Woh jis ko mile, Imaan mila, Imaan toh kya Rahman mila
Quran bhi jab hi haath aaya jab dil ne woh noor-e-huda paaya
Be-misl-e-Haq ke mazhar ho phir misl tumhara kyon kar ho
Nahin koi tumhara ham-palla na tera koi ham-paaya paaya
Nahin jalwa mein un ke yaktai koi aaqa kahe koi bhai
Momin samjha Banda-Parwar andhon ne mehez banda paaya
Irshad hua sooraj lauta se paaya jo ishara chand chira
Baadal rim jhim rim jhim barsa jab hukm-e-Habib-e-Khuda paaya
Tum hi to ho wahdat tum hi to ho kasrat ke masdar
Hai qibla-e-hajaat aap ka dar kaaba ne tumhein kaaba paya
Sitare qurban tere duniya mein to mere aib dhake
Mahshar mein bhi izzat rakh lena tum sa na koi apna paya
Sirf ek pyala pani hai aur peene wale chaudah sau
Is waqt un ki har ungli se pani ka rawan chashma paya
Jabir ke ghar thode jo the mehman kiya sara lashkar
Sab sair hue lekin khana jo pehle tha waisa paya
Ab tak to khilaye luqma-e-turab chhod ke dirham jayein kidhar
Purshish hai jahan nakaron ki wo aap ka darwaza paya
Duniya se bachalo Salik ko kaam apni raza ke is se lo
Ek ye hi tamanna baqi hai ab tak to jo kuch manga paya