Hum khak hain aur khak hi mawa hai hamara
Khaki toh woh Adam jadd-e-aala hai hamara
Allah hamein khak kare apni talab mein
Yeh khak toh Sarkar se tamgha hai hamara
Jis khak pe rakhte thay qadam Sayyid-e-Alam
Us khak pe qurban dil-e-sheeda hai hamara
Kham ho gayi pusht-e-falak is ta'n-e-zameen se
Sun hum pe Madina hai woh rutba hai hamara
Us ne laqab-e-khak Shehanshah se paya
Jo Haider-e-Karrar ke Maula hai hamara
Ae mudda'iyo! Khak ko tum khak na samjho
Is khak mein madfoon Sheh-e-Batha hai hamara
Hai khak se tameer-e-mazar-e-sheh-e-konain
Ma'moor isi khak se Qibla hai hamara
Hum khak urayenge jo woh khak na payi
Aabad Raza jis pe Madina hai hamara