Jaan o dil ya rabb ho qurban Habib-e-Kibriya
Aur hathon mein ho daman-e-Habib-e-Kibriya
Aankh mein ho noor-o-nidan-e-Habib-e-Kibriya
Sar mein ho soda o arman-e-Habib-e-Kibriya
Un ke faiz-e-noor ne konain ko roshan kiya
Donon aalam par hai ehsan-e-Habib-e-Kibriya
Zindagi ho ya mujhe maut aaye donon haal mein
Main hoon ya rabb aur bayaban-e-Habib-e-Kibriya
Kaisa fakhr o naaz ho apne muqaddar par agar
Sag banayein mujh ko darban-e-Habib-e-Kibriya
Ek nazar dekho jamal-e-aftab-e-Hashmi
Meri aankhon par ho ehsan-e-Habib-e-Kibriya
Ban ke mangta un ke dar ke shah-e-aalam ho gaye
Aye zahe qismat gadayan-e-Habib-e-Kibriya