Jaate hain su-e-Madina ghar se hum
Baaz aaye Hind-e-bad-akhtar se hum
Maar daale be-qarari shauq ki
Khush to jab hon us dil-e-muztar se hum
Be-thikanon ka thikana hai yahi
Ab kahan jayen tumhare dar se hum
Tishnagi-e-hashr se kuch gham nahi
Hein ghulaman-e-shah-e-Kausar se hum
Apne hathon mein hai daaman-e-Shafi
Dar chuke bas fitna-e-mahshar se hum
Naqsh-e-paa se jo hua hai sarfaraaz
Dil badal dalenge us pathar se hum
Gardan-e-tasleem kham karne ke saath
Phenkte hain baar-e-isyaan sar se hum
Gor ki shab taar hai par khauf kya
Lo lagaye hain rukh-e-anwar se hum
Dekh lena sab muraadein mil gayin
Jab lipat kar roye un ke dar se hum
Kya bandha hum ko Khuda jaane khayal
Ankhein milte hain jo har pathar se hum
Jaane wale chal diye kab ke Hasan
Phir rahe hain ek bas muztar se hum
Woh aur hain jin ko kahiye mohtaj
Hum toh hain gada-e-Ghouse Azam
Hain janib-e-nala-e-ghareeban
Gosh-e-shunwa-e-Ghouse Azam
Kyun hum ko sataye naar-e-dozakh
Kyun rad ho dua-e-Ghouse Azam
Begane bhi ho gaye yagane
Dil kash hai ada-e-Ghouse Azam
Aankhon mein hai noor ki tajalli
Phaili hai ziya-e-Ghouse Azam
Jo dam mein ghani kare gada ko
Woh kya hai ata-e-Ghouse Azam
Kyun hashr ke din ho faash parda
Hain zer-e-qaba-e-Ghouse Azam
Aaina-e-roo-e-khoob royan
Naqsh-e-kaf-e-pa-e-Ghouse Azam
Ae dil na dar in balaon se ab
Woh aayi sada-e-Ghouse Azam
Ae gham jo sataye ab toh janun
Le dekh woh aaye Ghouse Azam
Taar-e-nafs-e-malaika hai
Har taar-e-qaba-e-Ghouse Azam
Sab khol de uqda-ha-e-mushkil
Ae naakhan-e-pa-e-Ghouse Azam
Kya un ki sana likhun husn mein
Jaan baad fida-e-Ghouse Azam