Jah-o-jalal do na hi maal-o-manal do
Soz-e-Bilal bas meri jholi mein daal do
Duniya ke saare gham mere dil se nikal do
Gham apna ya Habeeb! baraye Bilal do
Hajar-o-firaq to mila do iztirab bhi
Be-tab qalb-e-azpaye soz-e-Bilal do
Behti rahe jo har ghari bas yaad mein shaha!
Woh chashm-e-ashkbar paye Zuljalal do
Seena madina ho mera dil bhi madina ho
Fikr-e-Madina do mujhe madani khayal do
Har aan bas tasawwur-e-Taiba mein gum rahoon
Aisa buland Shah-e-Madina! khayal do
Do dard-e-sunnaton ka paye Shah-e-Karbala
Ummat ke dil se lazzat-e-isyan nikal do
Khulq-e-azeem se mujhe hissa ata karo!
Be-ja hansi ki khaslat-e-bad ko nikal do
Zikr-o-durood har ghari wird-e-zaban rahe
Meri fazool goi ki aadat nikal do
Donon jahan ki aafatein Maula musibatein
Sadqe mein mere Ghous ke Sarkar! taal do
Attar ko bula ke Madine mein do Baqi
Do phoolon ke tufail hoon pooray sawal do