Jald hum aazim-e-gulzar-e-Madina honge
Hazir-e-dargah-e-Sarkar-e-Madina honge
Ab to noorani chaman zar-e-Madina honge
Samne ab mere kohsar-e-Madina honge
Sabz gumbad ki wahan khoob baharein hongi
Roobaro phir mere ashjaar-e-Madina honge
Wajd aa jayega qismat ko bhi us dam wallah
Samne jab mere Sarkar-e-Madina honge
Un ki rehmat se jo mil jaye Baqi-e-Gharqad
Bil yaqeen qabr mein anwar-e-Madina honge
Qafle ki yun Madine se judai hogi
Mudtar-o-ghamzada zuwwar-e-Madina honge
Naz'a mein qabr mein mehshar mein woh payein aaram
Dar-e-fani mein jo bimar-e-Madina honge
Hashr se kyun ho pareshan gunahgaro tum
Apne hami wahan Sarkar-e-Madina honge
Un ko hasil mere Aaqa ki shafa'at hogi
Jo koi hazir-e-darbar-e-Madina honge
Meri Sarkar ka aayega bulawa un ko
Jo koi dil se talabgar-e-Madina honge
Naz'a mein ashiqon ki eid hi hojayegi
Un ke sarhane to Sarkar-e-Madina honge
Hashr mein jayenge Attar yun Insha Allah
Apni darhi mein saje khar-e-Madina honge