Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Jhoom kar saare pukaaro Marhaba ya Mustafa

Jhoom kar saare pukaaro Marhaba ya Mustafa

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Jhoom kar saare pukaaro Marhaba ya Mustafa, choom kar lab do jahan Marhaba ya Mustafa Keh kar ae isyaan-e-shiaaro Marhaba ya Mustafa, bigdi qismat ko sanwaaro Marhaba ya Mustafa Muflis-o-ghurbat ke maaro Marhaba ya Mustafa, tum bhi keh do maal-daaro Marhaba ya Mustafa Keh ke daaman ko pasaaro Marhaba ya Mustafa, baadshaho naamdaaro Marhaba ya Mustafa Sab pukaaro be-qaraaro Marhaba ya Mustafa, tum bhi keh do parda-daaro Marhaba ya Mustafa Keh do ranj-o-gham ke maaro Marhaba ya Mustafa, aao himmat ab na haaro Marhaba ya Mustafa Sab pukaaro dilfagaaro Marhaba ya Mustafa, ae teemo! Be-sahaaro Marhaba ya Mustafa Keh do ae sajda-guzaro Marhaba ya Mustafa, tum bhi keh do roza-daaro Marhaba ya Mustafa Keh do ae furqat ke maaro Marhaba ya Mustafa, sab pukaaro raaz-daaro Marhaba ya Mustafa Keh do Kaabe ke manaaro Marhaba ya Mustafa, sabz gumbad ke nazaaro Marhaba ya Mustafa Tum bhi keh do khaar-zaaro Marhaba ya Mustafa, baagh-e-aalam ki bahaaro Marhaba ya Mustafa Sab pukaaro aabshaaro Marhaba ya Mustafa, waadiyo aur kohsaaro Marhaba ya Mustafa Tum bhi keh do murgh-zaaro Marhaba ya Mustafa, baagh ke rangeen nazaaro Marhaba ya Mustafa Keh do tum bhi chaand-taaro Marhaba ya Mustafa, panchiyon ki udti daaro Marhaba ya Mustafa Bol utho ae sheer-khwaaro Marhaba ya Mustafa, mah-paaro gul-ezaaro Marhaba ya Mustafa Kyun nahin kehte ho pyaaro Marhaba ya Mustafa, keh bhi do nawaab-o-daaro Marhaba ya Mustafa Chalte chalte hi pukaaro Marhaba ya Mustafa, ae piyaado aur sawaaro Marhaba ya Mustafa Sab pukaaro badkaaro Marhaba ya Mustafa, ae jahan ke taajdaaro Marhaba ya Mustafa Tum bhi keh do reeg-zaaro Marhaba ya Mustafa, mehke phoolo aur khaaro Marhaba ya Mustafa Keh do dariya ke kinaaro Marhaba ya Mustafa, bahr ki ae tez-dhaaro Marhaba ya Mustafa Tum bhi keh do shaakh-e-saaro Marhaba ya Mustafa, ae pahaaron ki qataaro Marhaba ya Mustafa Dhoom hai Attar har su Shah ke Milad ki Jhoom kar tum bhi pukaaro Marhaba ya Mustafa Farman-e-Mustafa Salla Allahu Ta'ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam: Mujh par durood-e-pak ki kasrat karo, beshak yeh tumhare liye taharat hai. (Abu Ya'la J 5 S 458 Hadith 6383)