Jidhar dekhun Madinay ka haram ho karam aisa Shahanshah-e-Umam ho
Kahan sarkar daulat mangta hun Madinay ka ata mujh ko to gham ho
Jab Aaqa aakhri waqt aaye mera mara sar ho tera bab-e-karam ho
Karay parwaaz rooh-e-muztarib yun teray darbar mein sar mera kham ho
Baqi-e-Pak ki lillah ab to ijazat marhamat-e-Shah-e-Haram ho
Jo baithay Mustafa ke gham mein roye na kyun meri nazar mein mohtaram ho