Jinhein khalq kehti hai Mustafa mera dil un pe nisaar hai
Mere qalb mein hain woh jalwa gar ke Madina jin ka dayaar hai
Hai jahan mein jin ki chamak damak hai chaman mein jin ki chehal pehal
Woh hi ek Madina ke chand hain sab unhi ke dam ki bahaar hai
Woh jhalak dikha ke chale gaye mere dil ka chain bhi le gaye
Meri rooh saath na kyun gayi mujhe ab to zindagi baar hai
Wohi maut hai wohi zindagi jo Khuda naseeb kare mujhe
Ke mare to un hi ke naam par jo jiye to un pe nisaar hai
Woh hai aankh jis ke ye noor hain woh hai dil ye jis ke suroor hain
Woh hi tan hai jis ki ye rooh hain woh hai jaan ye un pe nisaar hai
Jo karam se apne Shah-e-Umam rakhein mujh ghareeb ke ghar qadam
Mere Shah ki na ho shaan kam ke gada par un ka to pyaar hai
Walay is ghareeb ka khum-kada bane rashk-e-khuld-e-bareen shaha
Kare naaz apne naseeb par bane Shah woh jo ganwar hai
Dam-e-naz'a Saalik be-nawa ko dikhana shakal-e-Khuda numa
Ke qadam pe aap ke nikle dam bas isi pe dar-o-madaar hai
Hum ne hamesha kaam bigaray
Tum ne bigray kaam sanwaray
Aqa hashr mein izzat rakhna
Aib na yeh khul jayen hamaray
Hum ko na dekho aap ko dekho
Gobad hain kis ke hain tumharay
Dar ke kameen hain ghair nahin hain
Phirtay phirein kyun maaray maaray
Thori zameen jo Madina mein de do
Aan parein qadmon mein tumharay
Naz'a mein qabr mein is Salik ko
Chand si shakal dikhana pyaray