Jis taraf dekhye gulshan mein bahaar aayi hai dil magar dasht-e-Madina ka tamannayi hai
Khushnuma phool gulistan mein khule hain lekin mera dil khaar-e-Madina hi ka shedayi hai
Mustafa ki yeh inayat hai ke mere dil mein gumbad-e-sabz ki tasveer utar aayi hai
Jab kabhi jis ne bhi payi hai jahan ki nemat aap ke dast-e-karam hi se shifa payi hai
Aah! majboor pe ranj-o-gam ki char janib se sheha! kali ghata chayi hai
De de Maula! gam-e-Sultan-e-Madina deede lab pe reh reh ke yahi ek dua aayi hai
Jab tarap kar dil-e-gamgeen ne pukara Aaqa! foran imdad sheha aap ne farmayi hai
Kar do serab dil-e-tishna ko ab to Saqi! sharbat-e-deed ka muddat se tamannayi hai
Ghap andhera tha gunahon ka main sadqe jaoon lakh khud aa ke mari noor se chamkayi hai
Naz mein, qabr mein, mizan-e-amal aur pul par har jagah aap ki nisbat hi to kaam aayi hai
Sunnatain Shah-e-Madina ki tu apnaye ja dono aalam ki falah is mein mere bhai hai
Maal-o-daulat ki hawas dil se mita de ya Rab soz-e-Sarkar ka Attar tamannayi hai