Jo Madine ke Tasawwur mein Jiya karte hain
Har jagah lutf-e-Madine ka liya karte hain
Ishq-e-Sarwar mein jo hasti ko fana karte hain
Bhed-e-ulfat ke faqat un pe khula karte hain
Maal-o-daulat ki dua hum na khuda karte hain
Hum to marne ki Madine mein dua karte hain
Aag dozakh ki jala hi nahi sakti un ko
Ishq ki aag mein dil jin ke jala karte hain
Durr-e-nayab bila shak hain woh heere anmol
Ashk Aaqa ki jo yaadon mein baha karte hain
Dard-o-aalam mein taskeen unhein milti hai
Naam un ka jo musibat mein liya karte hain
Tu salaam un se dar-e-paak pe ja kar kehna
Iltija tujh se hum ae baad-e-saba karte hain
Kyun phirein shauq mein hum maal ke maare maare
Hum to Sarkar ke tukron pe pala karte hain
Sunnaton ki woh bane rehte hain har dam tasveer
Jaam jo un ki mohabbat ka piya karte hain
Sunnaton ke ae muballigh! ho mubarak tujh ko
Tujh se Sarkar bada pyaar kiya karte hain
Aap ki galiyon ke kutton pe tasadduq jaaun
Ke Madine ke woh kuchon mein phira karte hain
Sun lo! nuqsaan hi hota hai bil-aakhir un ko
Nafs ke waaste gussa jo kiya karte hain
Bil-yaqeen aise musalmaan hain be-had naadaan
Jo ke rangeeni-e-duniya pe mara karte hain
Chaand suraj ka muqaddar bhi to dekho aksar
Gumbad-e-Khizra ke nazzare kiya karte hain
Jhilmilate huye taaron ki bhi qismat hai khoob
Gumbad-e-Khizra ke nazzare kiya karte hain
Masjid-e-Nabvi ke pur-noor minare har dam
Gumbad-e-Khizra ke nazzare kiya karte hain
Jhoom kar aate hain baarish liye baadal jab bhi
Gumbad-e-Khizra ke nazzare kiya karte hain
Ba-muqaddar hain Madine ke kabootar be-shak
Gumbad-e-Khizra ke nazzare kiya karte hain
Rashk-e-Attar ko un zarron pe aata hai jo
Un ke na'lain ke tallon se laga karte hain
Qabil-e-rashk hain Attar woh qismat wale
Dafn jo meethe Madine mein hua karte hain