Jobanon par hay bahar-e-chaman arai dost
Khuld ka naam na lay bulbul-e-shaidai dost
Thak kay baithay to dar-e-dil pay tamannai dost
Kaun say ghar ka ujala nahin zaibai dost
Arsa-e-hashr kaja mauqif-e-Mehmood kaja
Saaz-e-hangamon say rakhti nahin yaktai dost
Mehar kis munh say jalo dari-e-jaanan karta
Saya kay naam say bezaar hay yaktai dost
Marne walon ko yahan milti hay umr-e-javeed
Zinda chhoray gi kisi ko na maseehai dost
Un ko yakta kiya aur khalq banai yaani
Anjuman kar kay tamasha karen tanhai dost
Kaaba-o-arsh mein kehram hay nakami ka
Aah kis bazm mein hay jalwa-e-yaktai dost
Husn-e-be-parda kay parday nay mita rakha hay
Dhoondnay jayen kahan jalwa-e-harjai dost
Shauq rokay na rukay paon uthaye na uthay
Kaisi mushkil mein hain Allah tamannai dost
Sharm say jhukti hay mehrab kay sajid hain huzoor
Sajda karwati hay kaaba say jabeen sai dost
Taaj walon ka yahan khaak pay matha dekha
Saaray daraon ki daara hui darai dost
Toor par koi, koi charkh pay yeh arsh say paar
Saaray balaon pay baala rahi baalai dost
Anta feehim nay adoo ko bhi liya daaman mein
Aish-e-javeed mubarak tujhay shaidai dost
Ranj-e-aada ka Raza chara hi kya hay jab unhen
Aap gustakh rakhay hilm-o-shakeebai dost
Tooba mein jo sab se oonchi naazuk seedhi nikli shaakh
Mangoon naat-e-Nabi likhne ko rooh-e-Quds se aisi shaakh
Maula gulban, rehmat-e-Zahra, Sibtain us ki kaliyan phool
Siddiq o Farooq o Usman, Haider har ik us ki shaakh
Shaakh-e-qamat-e-Shah mein zulf o rukhsar o lab hain
Sunbul, nargis, gul, pankhariyan qudrat ki kya phooli shaakh
Apne in baghon ka sadqa woh rehmat ka paani de
Jis se nakhl-e-dil mein ho paida pyare teri wila ki shaakh
Yad-e-rukh mein aahein kar ke ban mein main roya aayi bahaar
Jhoomein naseemein, neesan barsa, kaliyan chatkein, mehki shaakh
Zahir o batin awwal o akhir zaib-e-furoo o zeen-e-usool
Baagh-e-risalat mein hai tu hi gul, ghuncha, jar, patti shaakh
Aal-e-Ahmed khuz biyadi ya Sayyidi Hamza kun madadi
Waqt-e-khizan-e-umr-e-Raza ho barg-e-huda se na aari shaakh