(Naz'a ki sakhtiyon, qabr ki holnakiyon, hashr ki dushwariyon aur jahannum ki khaufnak wadiyon ka tasawwur bandh kar khauf-e-Khuda Azawajal se larazte hue ashkbar aankhon se is kalam ko parhiye)
Kaash ke na duniya mein paida main hua hota
Qabr-o-hashr ka har gham khatm ho gaya hota
Aah! Salb-e-imaan ka khauf khaye jata hai
Kaash ke meri maan ne hi nahi jana hota
Main na phans gaya hota aa ke surat-e-insaan
Kaash! Main madine ka oont ban gaya hota
Oont ban gaya hota aur eid-e-qurban mein
Kaash! Dast-e-Aaqa se nahr ho gaya hota
Kaash! Main madine ka koi dumba hota ya
Seeng wala chishkahra mendha ban gaya hota
Taar ban gaya hota murshidi ke gurte ka
Murshidi ke seene ka baal ban gaya hota
Do jahan ki fikron se yun najaat mil jaati
Main madine ka sach much kutta ban gaya hota
Kaash! Aisa ho jata khak-e-ban ke taiba ki
Mustafa ke qadmon se main lipat gaya hota
Phool ban gaya hota gulshan-e-madina ka
Kaash! Un ke sahra ka khaar ban gaya hota
Main bajaye insaan ke koi pauda hota ya
Nakhl ban ke taiba ke baagh mein khada hota
Gulshan-e-madina ka kaash! hota main sabza
Ya main ban ke ek tinka hi wahan pada hota
Murgh-e-zaar-e-taiba ka kaash! hota parwana
Gard-e-shama phir phir kar kaash! jal gaya hota
Kaash! Khar ya khachar ya ghoda ban kar aata aur
Aap ne bhi ghone se bandh kar rakha hota
Jaan gayi ki takleefein zibh se hain badh kar kaash!
Murgh ban ke taiba mein zibh ho gaya hota
Aah! Kasrat-e-isyan haye! Khauf-e-dozakh ka
Kaash! Main na duniya ka ek bashar bana hota
Shor utha ye mahshar mein khuld mein gaya Attar
Gar na wo bachate to naar mein gaya hota