Karam jo aap ka ae Syed-e-Abrar ho jaye
To har badkar banda dam mein nekokar ho jaye
Jo momin dekhe tum ko mehram-e-asrar ho jaye
Jo kafir dekh le tum ko to woh deendar ho jaye
Jo sar rakh de tumhare qadmon pe sardar ho jaye
Jo tum se sarkashi phere zaleel-o-khwar ho jaye
Jo ho jaye tumhara us pe Haq ka pyar ho jaye
Bane Allah wala woh jo tera yaar ho jaye
Agar aaye woh jaan-e-noor mere khana-e-dil mein
Mah-o-khawar mera ghar matla-e-anwar ho jaye
Gham-o-ranj-o-alam aur sab balaon ka madawa ho
Agar woh gesuon wala mera dildar ho jaye
Inayat se mere sar par agar woh kafsh-e-pa rakh dein
Yeh banda tajdaron ka bhi to sardar ho jaye
Talatum kaisa hi kuch hai magar ae nakhuda-e-man
Ishara aap farma dein to beda paar ho jaye
Jo dooba chahta hai woh to dooba hua beda
Ishara aap ka paye to maula paar ho jaye
Tumhare faiz se lathi misal-e-shama roshan ho
Jo tum lakdi ko chaho tez-tar talwar ho jaye
Gunah kitne hi kaise hi hain par Rehmat-e-Aalam
Shafa'at aap farmayein to beda paar ho jaye
Bharram reh jaye mehshar mein na palla halka ho apna
Ilahi mere palle par mera gham-khwar ho jaye
Ishara paye to dooba hua sooraj bar-aamad ho
Uthey ungli to mah-e-do balkay do do chaar ho jaye
Tera tasdeeq karne wala hai Allah ka momin
Tera munkir woh jis ko Haq se hi inkar ho jaye
Mere saqi may-e-baqi pila de ek aalam ko
Jo baqi aur pyasa hai tera may-e-khwar ho jaye
Tumhare hukum ka bandha hua sooraj phire ulta
Jo tum chaho ke shab din ho abhi sarkar ho jaye
Tuana aur mazameen achay achay hain abhi baqi
Magar bas bhi karo Noori na padhna baar ho jaye