Karoon dam-ba-dam main sana-e-Madina, lagata rahe dil sada-e-Madina
Khuda ki qasam! pyari pyari hai jannat, magar aashiqon ko rulaye Madina
Jahan ke nazare hon aankhon se oojhal, nazar mein meri bas samaye Madina
Khila de kali mere murjhaye dil ki, khudara tu aa kar hawa-e-Madina
Jise chahiye donon aalam ki daulat, woh kashkol le kar ke aaye Madina
Inayat se Allah ki rehmaton ka, shab-o-roz darya bahaye Madina
Paye peer-o-murshid tu farma de roshan, mera qalb-e-teera ziya-e-Madina
Shafaat ki khairat ka jo hai talib, baraye ziyarat woh aaye Madina
Na de ya Ilahi! mujhe takht-e-shahi, bana de mujhe bas gada-e-Madina
Shab-o-roz jalwe hain maah-e-Arab ke, na kyon raat din jagmagaye Madina
Tujhe wasta Ghous-o-Ahmed Raza ka, ata kar Ilahi faza-e-Madina
Baqi mubarak mein madfan ata ho, karam kar khudaya baraye Madina
Meri khaak jis dam ude ya Ilahi, use kaash udaye hawa-e-Madina
Parosi bana mujh ko jannat mein unka, Khuda-e-Muhammad baraye Madina
Laga fajr mein bhai ghar ghar pe ja kar, zara dil laga kar 'sada-e-Madina'
Jo de roz do 'dars-e-faizan-e-sunnat', main deta hoon usko dua-e-Madina
Safar jo kare qafilon mein musalsal, main deta hoon usko dua-e-Madina
Jo paband hai ijtimaat ka bhi, main deta hoon usko dua-e-Madina
Jo neki ki dawat ki dhoomein machaye, main deta hoon usko dua-e-Madina
Zaban par jo 'qufl-e-Madina' lagaye, main deta hoon usko dua-e-Madina
Jo aankhon pe qufl-e-Madina lagaye, main deta hoon usko dua-e-Madina
Jo deewane furqat mein rote hain Aaqa, dikha do unhein ab faza-e-Madina
De soz-e-jigar chashm-e-tar qalb-e-muztar, mujhe ya Ilahi baraye Madina
Yeh Attar makke se zinda salamat, tadapta hua kaash aaye Madina