Karoon kya haal-e-dil izhar Ya Ghous
Ke tum ho aalim-ul-asrar Ya Ghous
Nikalo bahr-e-gham se meri kashti
Hai hail beech mein manjdhaar Ya Ghous
Siwa tere kahoon kis se gham apna
Nahi mera koi ghamkhwar Ya Ghous
Madad ka waqt hai imdad kijiye
Meri halat hui hai zaar Ya Ghous
Dil-e-tareek par farma de saiqal
Mera seena ho pur-anwar Ya Ghous
Atta kar sehat-e-kamil isay bhi
Yeh banda hai tera bimar Ya Ghous
Bula Baghdad mein lillah Aaqa
Dikha apna mujhe darbar Ya Ghous