Khak-e-Madina hoti main khaksar hota
Hoti rah-e-Madina mera ghubar hota
Aqa agar karam se Taiba mujhe bulate
Roza pe sadqa hota un par nisar hota
Woh bekason ke Aqa be-kas ko gar bulate
Kyon sab ki thokaron par par kar woh khwar hota
Taiba mein gar mayassar do gaz zameen hoti
Un ke qareeb basta dil ko qarar hota
Mar mit ke khoob lagti mitti meri thikane
Gar un ki rah-guzar par mera mazar hota
Yeh aarzoo hai dil ki hota woh sabz gumbad
Aur main ghubaar ban kar us par nisaar hota
Be-chain dil ko ab tak samjha bujha ke rakha
Magar ab toh us se aaqa nahin intezar hota
Saalik huye hum un ke woh bhi huye hamare
Dil-e-muztarib ko lekin nahin aitbaar hota