Kuch aisa kar de mere kirdagar aankhon mein
Hamesha naqsh rahe ruye yaar aankhon mein
Na kaise ye gul-o-ghunche hon khwaar aankhon mein
Labe hue hain Madine ke khaar aankhon mein
Basa hua hai koi gul-e-izaar aankhon mein
Khula hai chaar taraf lala-zaar aankhon mein
Hawa hai jalwa-numa gul-e-izaar aankhon mein
Khizaan ke daur mein phooli bahaar aankhon mein
Suroor-o-noor ho dil mein bahaar aankhon mein
Jo khwab mein kabhi aaye nigaar aankhon mein
Woh noor de mere parwardigar aankhon mein
Ke jalwa-gar rahe rukh ki bahaar aankhon mein
Nazar ho qadmon par unke nisaar aankhon mein
Banayein apna ho woh reh-guzar aankhon mein
Na ek nigah hi sadqa ho dil bhi qurban ho
Karam kare to woh naqa-sawaar aankhon mein
Basar ke saath baseerat bhi khoob roshan ho
Lagaun khaak-e-qadam baar baar aankhon mein
Tumhare qadmon pe moti nisaar hone ko
Hain beshumar meri ashkbaar aankhon mein
Nazar na aaya qarar-e-dil-e-hazein ab tak
Nigah rehti hai yun be-qarar aankhon mein
Unhein na dekha to kis kaam ki hain ye aankhein
Ke dekhne ki hai saari bahaar aankhon mein
Nazar mein kaise samayein ge phool jannat ke
Ke bas chuke hain Madine ke khaar aankhon mein
Ajab nahin ke likha loh ka nazar aaye
Jo naqsh-e-pa ka lagaun ghubar aankhon mein
Mile jo khaak-e-qadam unki mujhko qismat se
Lagaun surma na phir zeenhaar aankhon mein
Madina jaan-e-chaman aur khizaan se aiman hai
Lagaye khaak wahan ki hazaar aankhon mein
Khule hain deedah-e-ushaq khwab-e-marg mein bhi
Ke us nigaar ka hai intezar aankhon mein
Khizaan ka daur hua door woh jahan aaye
Hui hai qadmon se unke bahaar aankhon mein
Ye ishtiyaq-e-tari deed ka hai jaan-e-jahan
Dam aa gaya hai dam-e-ehtizar aankhon mein
Ye aasman ke taare ye nargis-e-shahla
Tera hi jalwa hai in beshumar aankhon mein
Yeh dam hamara koi dam ka aur mehmaan hai
Karam se lijiye dam bhar qarar aankhon mein
Woh sabz sabz nazar aa raha hai gumbad-e-sabz
Qarar aa gaya yun be-qarar aankhon mein
Bahar-e-duniya hai faani na kar is par
Hai koi dam ki yeh saari bahar aankhon mein
Yeh gul yeh ghunche yeh gulshan ke bail aur boote
Unhi ke dam ki hai saari bahar aankhon mein
Yeh haal-e-zaar hai furqat mein tere muztar ka
Ke ashk aate hain be-ikhtiyar aankhon mein
Wahi mujhe nazar aayen jidhar nigah karoon
Unhi ka jalwa rahe aashkar aankhon mein
Yeh dil tadap ke kahin aankhon mein na aa jaye
Ke phir raha hai kisi ka mazar aankhon mein
Na aise phool khule hain kabhi na aage khilen
Baharon mein hai Arab ki bahar aankhon mein
Qareeb hai rag-e-gardan se par juda hai woh
Na yaar dil mein kahin hai na yaar aankhon mein
Yeh qurb aur yeh doori Khuda ki qudrat hai
Ke hoga khuld mein deedar-e-yaar aankhon mein
Karam yeh mujh pe kiya hai mere tasawwur ne
Ke aaj khench di tasveer-e-yaar aankhon mein
Farishto poochte ho mujh se kis ki ummat ho
Lo dekh lo yeh hai tasveer-e-yaar aankhon mein
Na sirf aankhein hi roshan hon dil bhi beena ho
Agar woh aayen kabhi ek baar aankhon mein
Hazaar aankhein hain taaron ki ek gul-e-mahtab
Yeh ek phool hai jaise hazaar aankhon mein
Yun hi hain mah-e-risalat bhi sab nabiyon mein
Karor aankhon nahin be-shumar aankhon mein
Yeh kya sawal hai mujh se ke kis ka banda hai
Main jis ka banda hoon hai noor baar aankhon mein
Hai aashkar nazar mein jahan ki nairangi
Jama hai naqsha-e-lail-o-nahar aankhon mein
Jama hua hai tasawwur mein rauza-e-wala
Lab-e-huye hain woh lail-o-nahar aankhon mein
Nahar chehra wala to gesu hain wal-lail
Baham huye hain yeh lail-o-nahar aankhon mein
Piya hai jaam-e-mohabbat jo Aap ne Noori
Hamesha is ka rahe ga khumar aankhon mein