Kuch roz pehle to mein, Madinay mein tha ab aah!
Aakar watan mein phans gaya phir karobar mein
Hijr-e-Madina mein jo taraptay hain ya Nabi
Un ko bulaiye shaha! apnay diyaar mein
Kar maghfirat meri teri rehmat ke samnay
Meray gunah ya Khuda hain kis shumaar mein
Fazl-e-Khuda se maalik-e-kaun-o-makaan hain Aap
Donon jahan Aap ke hain ikhtiyar mein
Fashion ko choro bhaiyo! apnao sunnatain
Kab tak jiyo ge aalam-e-napaidaar mein
Woh deen-e-haq ke wastay Taif mein zakhm khayain
Afsos hum phansay rahain bas karobar mein
Badkar-o-naabkar ka imaan ya Nabi
Mehfooz rakhna Aap ke hai ikhtiyar mein
Kartay raho yeh haq se dua meray bhaiyo!
Attar ko de maut Nabi ke diyaar mein
Sara andhera door samaan hoga noor noor
Attar jab ayain ge teray mazaar mein