Kun ka hakim kar diya Allah ne Sarkar ko
Kaam shakhon se liya hai Aap ne talwar ka
Kuch Arab par hi nahi mauquf aye Shah-e-Jahan
Loha mana ek aalam ne teri talwar ka
Kaat kar ye khud sar mein ghus ke bheja chaat le
Kaat aisa hai tumhari kaath ki talwar ka
Is kinare hum khade hain paat aisa dhaar ye
Al-madad aye nakhuda hai qissa apne paar ka
Rabbi sallim ki dua se paar beda kijiye
Raah hai talwar par neeche hai darya-e-naar ka
Tu hai woh shereen dahan khari kunwein shereen hue
In ko kaafi ho gaya aab-e-dahan ik baar ka
Jis ne jo manga woh paya aur be-mangay diya
Paak munh par harf aaya hi nahi inkaar ka
Dil mein ghar karta hai aada ke tera shereen sukhan
Hai mere shereen sukhan shohra teri guftaar ka
Zulmat-e-marqad ka andesha ho kyun Noori mujhe
Qalb mein hai jab mere jalwa-e-jamal-e-yaar ka