Kya kahoon kaise hain pyare tere pyare gaisu
Donon aarz hain Zuha lail ke paaray gaisu
Dast-e-qudrat ne tere aap sanwaray gaisu
Hoor sau naaz se kyun un pe na waaray gaisu
Khaak-e-Taiba se agar koi nikharay gaisu
Sunbul-e-khuld to kya hoor bhi haaray gaisu
Sunbul-e-Taiba ko dekhay jo sanwaray gaisu
Sunbul-e-khuld ke Rizwan bhi nihaaray gaisu
Kis liye ambar-e-sara na hon saaray gaisu
Gaisu kis ke hain yeh pyare hain tumhare gaisu
Hon na kyun rahmat-e-haq haq mein hamaray gaisu
Gaisu ae jaan-e-karam hain yeh tumhare gaisu
Yeh ghata jhoom ke Kaaba ki fiza par aayi
Ud ke ya abroo pe chaye hain tumhare gaisu
Maah-e-taban pe hain rahmat ki ghatayen chhayen
Ru-e-purnoor pe ya chaye tumhare gaisu
Sar basajda hue mehrab-e-khum-e-abroo mein
Kaaba-e-jaan ke jo aaye hain kinare gaisu
Nayyar-e-hashar hai sar par nahi saya Sarwar
Hai khari dhoop karen saya tumhare gaisu
Sookh jaye na kahein kisht-e-amal ae Sarwar
Bondiyan lutf-e-rahmat se utaray gaisu
Apni zulfon se agar na'l-e-mubarak poonchay
Rizwan barkat ke liye hoor ke dharay gaisu
Gard jhari hai tere roza ki baalon se shaha
Mushk-bo kaise na hon aaj hamare gaisu
Ab chamakti hai siyah karo tumhari qismat
Lo jhuke izn ke sajday ko woh pyaray gaisoo
Pesh-e-Maula-e-Raza jo hain jhukay sajday mein
Karte hain bakhshish-e-ummat ke isharay gaisoo
Phuwar maston pe teray abr-e-karam ki barsay
Saqiya khol zara hauz kinaray gaisoo
Saya bhi chahiye hai maston ko do chheentay mein
Kaash saqi ke khulein hauz kinaray gaisoo
Ibristan banay mehshar ka woh maidan sara
Khol de saqi agar hauz kinaray gaisoo
Baada-o-saqi lab-e-joo to hain phir abr bhi ho
Saqi ghul jayen teray hauz kinaray gaisoo
Yeh sar-e-toor se girtay hain shararay noori
Rooy-e-purnoor pe ya waaray hain taaray gaisoo