Kyun barhween pe hai sabhi ko pyar aa gaya
Aaya isi din Ahmad-e-Mukhtar aa gaya
Ghar Amina ke Sayyid-e-Abrar aa gaya
Khushiyan manao ghamzada ghamkhwar aa gaya
Jis waqt koi marhala dushwar aa gaya
Us waqt kaam Sayyid-e-Abrar aa gaya
Barsein ghataein rahmaton ki jhoom jhoom kar
Rahmat sarapa jab mera sardar aa gaya
Arsa judai ka hua ab to bulaiye
Phir kaash! ro ro kar kahun Sarkar! aa gaya
Aunga jab Madine to ro kar kahunga mein
Bhaga hua yeh tera gunahgar aa gaya
Bar-e-gunah sar pe hai aankhon mein ashk hain
Bakhshish ki aas le ke gunahgar aa gaya
Mujh ko shifa do yani marz-e-gunah se
Dar par tumhare isyan ka bimar aa gaya
Bimar apne ishq ka mujh ko banaiye
Yeh arz le ke dar pe Sarkar aa gaya
Kasa liye umeed ka Sultan-e-do jahan
Dar par tumhara talib-e-deedar aa gaya
Khali na lota koi bhi darbar se kabhi
Sultan aaya ya koi nadar aa gaya
Sarkar! mujh ko sharbat-e-deedar ho ata
Ab dam labon pe ya shahe abrar aa gaya
Ghous-o-Raza ka wasta hum ko bulaiye
Aakar khushi se sab kahein darbar aa gaya
Jootay utar lo chalo ba-adab ba-adab
Dekho Madine ka haseen gulzar aa gaya
Ab sar jhukaye zairo! parhte hue durood
Aage barho lo dekh lo darbar aa gaya
Ishq-e-Nabi mein ashk karo pesh zairo!
Darbar-e-aali manba-e-anwar aa gaya
Aage barho ae asio qadmon mein ja paro
Woh be-kason ka yawar-o-ghamkhwar aa gaya
Ab muskurate aaiye soye gunahgar
Aaqa andheri qabr mein Attar aa gaya
Attar ko jo dekha utha hashr mein yeh shor
Dekho ghulam-e-Sayyid-e-Abrar aa gaya