Likh raha hoon naat-e-sarwar-e-sabz gumbad dekh kar
Kaif tari hai qalam par sabz gumbad dekh kar
Hai muqaddar yawari par sabz gumbad dekh kar
Phir na kyun jhoome sana gar sabz gumbad dekh kar
Masjid-e-Nabwi pe pahunche marhaba sall-e-ala
Ho gaya jaari zaban par sabz gumbad dekh kar
Joon hi main pahuncha madine ki gali mein beqarar
Aankh meri ho gayi tar sabz gumbad dekh kar
Rooh ko taskeen-e-jaan muztarib ko chain hai
Dil ko bhi rahat mayassar sabz gumbad dekh kar
Unke mangte, unke sail do jahan ki ne'matein
Mangte hain haath utha kar sabz gumbad dekh kar
Aap se bas aap hi ko mangta hai ya Nabi!
Aap ka adna gadagar sabz gumbad dekh kar
London o Paris ka aashiq bhi yaqeenan marhaba!
Bol uthe ga rooh-e-parwar sabz gumbad dekh kar
Dhoop rozana Madina jhoom kar hai choomti
Aur lipat jati hai aakar sabz gumbad dekh kar
Choom leta hai Madina roz aakar aftab
Phir lipat jata hai aakar sabz gumbad dekh kar
Toot jaye dam Madine mein mera ya Rabb! Baqee
Kash ho jaye mayassar sabz gumbad dekh kar
Jab judai ki ghadi aati hai to koh-e-alam
Toot parta hai dilon par sabz gumbad dekh kar
Aap ki galiyon ke kutte mujh se achhe rahe
Hai sukoon un ko muyassar sabz gumbad dekh kar
Waqt-e-rukhsat khoon ugalte the mere qalb o jigar
Aankh ro parti thi aksar sabz gumbad dekh kar
Mere Murshid ne guzare hain Madine mein baras
Un ki rahmat se pachhattar sabz gumbad dekh kar
Ya Rasool Allah! Murshid par karam hoon beshumar
Soye hain qadmon mein aakar sabz gumbad dekh kar
Aah! Ae Attar itna bhi na tujh se ho saka!
Jaan kar deta nichawar sabz gumbad dekh kar