Lutf-e-Un ka aam ho hi jaye ga
Shaad har naakaam ho hi jaye ga
Jaan de do waada-e-deedar par
Naqd apna daam ho hi jaye ga
Shaad hai Firdous yani ek din
Qismat-e-khuddam ho hi jaye ga
Yad reh jayengi ye be-baakiyan
Nafs-e-too-too raam ho hi jaye ga
Be-nishanon ka nishan mitna nahi
Mit-te mit-te naam ho hi jaye ga
Yad-e-Gesu zikr-e-Haq hai aah kar
Dil mein paida laam ho hi jaye ga
Ek din aawaaz badlenge ye saaz
Chupa kehram ho hi jaye ga
Sailo! daaman-e-sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch inaam ho hi jaye ga
Yad-e-abroo kar ke tadpo bulbulu!
Tukde tukde daam ho hi jaye ga
Mufliso! Un ki gali mein ja pado
Baagh-e-khuld ikraam ho hi jaye ga
Gar yunhi rehmat ki taweelen rahen
Madah har ilzaam ho hi jaye ga
Baada-khwari ka samaan baandhe to do
Sheikh dard-aasham ho hi jaye ga
Gham to un ko bhool kar lipta hai yun
Jaise apna kaam ho hi jaye ga
Mit! Ke gar yunhi raha qarz-e-hayat
Jaan ka neelaam ho hi jaye ga
Aaqilo! Un ki nazar seedhi rahe
Booron ka bhi kaam ho hi jaye ga
Ab to layi hai shafa'at af'w par
Badhte badhte aam ho hi jaye ga
Ae Raza har kaam ka ik waqt hai
Dil ko bhi aaram ho hi jaye ga