Maah-e-Rabi-ul-Awwal aaya
Rab ki rehmat saath mein laya
Waqt-e-mubarak raat suhani
Subah ka tarka hai noorani
Peer ka din tareekh hai baarah
Farsh pe chamka arshi taara
Aaj ki raat baraat rachi hai
Amina ke ghar dhoom machi hai
Ghar mein hoorein dar pe malak hain
Jin ki qatarein taa-ba-falak hain
Thandi hawa ka jhonka aaya
Shor macha ek Salli Ala ka
Lo woh uthi gard-e-sawari
Paida huye Mehboob-e-Bari
Baagh-e-Khalil ka woh gul-e-zeba
Kasht-e-Safi ka nakhl-e-tamanna
Rehmat-e-Alam noor-e-mujassam
Sallallahu Alaihi Wasallam
Tum bhi utho ab waqt-e-adab hai
Zikr-e-wiladat-e-Shah-e-Arab hai
Takht hai un ka taaj hai un ka
Donon jahan mein raaj hai un ka
Jin-o-malak hain un ke sipahi
Rab ki khudai mein un ki shahi
Oonche oonche yahan jhukte hain
Saare inhi ka munh takte hain
Shah-o-gada hain un ke salami
Fakhr hai sab ko un ki ghulami
Kaaba ki zeenat inhi ke dam se
Taiba ki ronaq un ke qadam se
Ka'ba hi kya hai saare jahan mein
Dhoom hai un ki kaun-o-makaan mein
Amina bi ko la'l mubarak
Dai Haleema ko baal mubarak
Tum ko Khaleelullah mubarak
Tum ko Zabeehullah mubarak
Dan karo kuch jashn hai bhaari
Dar pe khade hain saare bhikari
Dar pe hain hazir apne paraye
Aap ke dam se aas lagaye
Ham to purane kameen hain dar ke
Naam likhe hain pidar madar ke
Chashm-e-karam lillah idhar ho
Salik-e-khasta par bhi nazar ho