Machi hai dhoom payamber ki aamad aamad hai
Habib-e-Khaliq-e-Akbar ki aamad aamad hai
Kya hai sabz alam nasb baam-e-Kaaba par
Ke do jahan ke sarwar ki aamad aamad hai
Na kyun ho noor se tabdeel kufr ki zulmat
Khuda ke mah-e-munawwar ki aamad aamad hai
Hai Jibraeel ko hukm-e-Khuda khabar kar do
Ke aaj Haq ke payamber ki aamad aamad hai
Khushi ke josh mein hain bulbulen bhi naghma-ganan
Chaman mein aaj gul-e-tar ki aamad aamad hai
Dozano ho ke adab se parho salawat-o-salam
Aziz-o-khalq ke masdar ki aamad aamad hai
Jameel-e-Qadri keh de khare hon ahl-e-sunan
Hamare hami-o-yawar ki aamad aamad hai