Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Madine ki taraf phir kab rawana qafila ho ga

Madine ki taraf phir kab rawana qafila ho ga

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Madine ki taraf phir kab rawana qafila ho ga Mujhe izn-e-Madina kab mere Aaqa ata ho ga Yaqeenan roz-e-Mehshar sirf usi se khush Khuda ho ga Yahan dunya mein jis ne Mustafa ko khush kiya ho ga Wohi sar bar sar-e-Mehshar bulandi paye ga jo sar Yahan dunya mein un ke aastanay par jhuka ho ga Koi hafta na koi din koi ghanta to kya afsos Koi lamha bhi isyaan se nahin khaali gaya ho ga Nahin jaati gunahon ki shaha! aadat nahin jaati Karam Maula pas-e-murdan na janay mera kya ho ga Faqat nekon pe ho ga gar karam aye Sarwar-e-Aalam! Kahan jaye ga woh banda jo bad ho ga bura ho ga Tere rahm-o-karam par aas main ne baandh rakhi hai Badi umeed hai Aaqa! Karam roz-e-jaza hoga Nabi ke aashiqon ko maut to anmol tohfa hai Ke un ko qabr mein deedar-e-shah-e-anbiya hoga Andheri gor hai tanha hoon mujh par khauf taari hai Tum aaoge to Aaqa door andhera qabr ka hoga Farishte qabr mein poochenge jab mujh se suwal aakar Mere lab par tarana in sha Allah naat ka hoga Nabi ke aashiqon ki eid hogi eid-e-mahshar mein Koi qadmon mein hoga koi seene se laga hoga Tere daaman-e-rahmat ki khule gi hashr mein wus'at Woh aa aakar chhupe ga jo gunahgar aur bura hoga Tasalli rakh tasalli rakh na ghabra hashr se Attar Tera haami wahan par Aamina ka laadla hoga Na ghabra maut se Attar barzakh mein tu mil lena Wahan Ghous-ul-Wara hoga wahan Ahmad Raza hoga