Main hoon sail main hoon mangta Ya Khawaja meri jholi bhar do
Hath barha kar daal do tukra Ya Khawaja meri jholi bhar do
Jo bhi sail aajata hai man ki muradein pa jata hai
Main ne bhi daaman hai pasara Ya Khawaja meri jholi bhar do
Sultan-e-Kounain ka sadqa Maula Ali Hasnain ka sadqa
Sadqa Khatoon-e-Jannat ka Ya Khawaja meri jholi bhar do
Mujh ko ishq-e-Rasool ata ho Khawaja nazar-e-karam se banado
Shah-e-Madina ka deewana Ya Khawaja meri jholi bhar do
Rab ki ibadat ki dushwari aur gunahon ki bimari
Donon aafatein door hon Khawaja Ya Khawaja meri jholi bhar do
De do tum Attar ko Khawaja sunnat ki khidmat ka jazba
Har su deen ka baja de danka Ya Khawaja meri jholi bhar do