Hawa hoon daad-e-sitam ko main hazir-e-darbar
Gawah hain dil-e-mahzoon-o-chashm-e-darya baar
Tarh tarh se satata hai zumra-e-ashrar
Badi-e bahr-e-khuda hurmat-e-shah-e-abrar
Madar chashm-e-inayat zaman dareegh madar
Nigah-e-lutf-o-karam az Hasan dareegh madar
Idhar aqarib-e-aqarib adu-o-ajanib-e-khwesh
Idhar hoon josh-e-ma'asi ke hath se dil-e-resh
Bayan kis se karoon hain jo aafatein darpesh
Phansa hai sakht balaon mein yeh aqeedat kesh
Madar chashm-e-inayat zaman dareegh madar
Nigah-e-lutf-o-karam az Hasan dareegh madar
Na hoon main talib-e-afsar na sail-e-deehim
Ke sang-e-manzil-e-maqsad hai khwahish-e-zar-o-seem
Kiya hai tum ko khuda ne kareem ibn-e-kareem
Faqat yehi hai shaha aarzoo-e-abd-e-ateem
Madar chashm-e-inayat zaman dareegh madar
Nigah-e-lutf-o-karam az Hasan dareegh madar
Hawa hai khanjar-e-afkar se jigar ghayal
Nafas nafas hai ayan dam shumari-e-bayal
Mujhe ho rehmat-e-aab-e-daroo-e-jarahat-e-dil
Na khali hath phire aastan se yeh sail
Madar chashm-e-inayat zaman dareegh madar
Nigah-e-lutf-o-karam az Hasan dareegh madar
Nabzein saaqit rooh-e-muztar jee nidhaal
Dard-e-isyaan se hua hai ghair-e-haal
Be-saharon ke sahare hain Huzoor
Hami-o-yawar hamare hain Huzoor
Ham ghareebon par karam farmayiye
Bad naseebon par karam farmayiye
Be-qararon ke sarhane aayiye
Delfagaron ke sarhane aayiye
Jaan-ba-lab ki chara farmayi karo
Jaan-e-Isa ho masihaayi karo
Shaam hai nazdeek manzil door hai
Paaon kaise jaan ranjoor hai
Maghribi goshon mein phootti hai shafaq
Zardi-e-khursheed se hai rang-e-faq
Raah na maloom sehra pur khatar
Koi saathi hai na koi raahbar
Taairon ne bhi baseera le liya
Khwahish-e-parwaz ko rukhsat kiya
Har taraf karta hoon hairat se nigah
Par nahin milti kisi soorat se raah
So balayein chashm-e-tar ke samne
Yas ki soorat nazar ke samne
Dil pareshan baat ghabrayi hui
Shakl par afsurdagi chhayi hui
Zulmatein shab ki ghazab dhane lageen
Kaali kaali badliyan chhane lageen
In balaon mein phansa hai khana zaad
Aafton mein mubtala hai khana zaad