Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Marhaba sad marhaba sall-e-ala khush amdeed

Marhaba sad marhaba sall-e-ala khush amdeed

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Marhaba sad marhaba sall-e-ala khush amdeed Aamad-e-noor-e-Khuda sall-e-ala khush amdeed Ya Habeeb-e-Kibriya sall-e-ala khush amdeed Tajdar-e-Anbiya sall-e-ala khush amdeed Ae mere mushkil kusha sall-e-ala khush amdeed Jaan-o-dil tum par fida sall-e-ala khush amdeed Sarwar-e-arz-o-sama sall-e-ala khush amdeed Ae shahe-har-do-sara sall-e-ala khush amdeed Shams mein teri ziya sall-e-ala khush amdeed Mah mein tera chandna sall-e-ala khush amdeed Kyun yeh ghar ghar roshni hai aaj kis ka jashn hai? Amina ke laal ka sall-e-ala khush amdeed Aaj kyun charon taraf yeh marhaba ki dhoom hai? Kyun hai har su ghulghula salle ala khush amdeed Baat yeh hai aaj duniya mein huye hain jalwa gar Baithe baithe Mustafa salle ala khush amdeed Marhaba jashne wiladat marhaba sad marhaba Noore aine Amina salle ala khush amdeed Jashne Miladun Nabi ki dhoom hai charon taraf Harkoi hai keh raha salle ala khush amdeed Rehmatul lil alameen ki ho gayi jalwa gari Baabe rehmat wa huwa salle ala khush amdeed Chashme ma roshan dile ma shaad ae jaane chaman Marhaba ya Mustafa salle ala khush amdeed Chhat gaye zulmat ke badal door andhera ho gaya Noor wala aa gaya salle ala khush amdeed Khana e Kaaba mein jo but thay sab oondhay gir paray Dabdaba aamad ka tha salle ala khush amdeed Anbiya o mursaleen sab ki imamat ka bartaray Sar pe hai sehra saja salle ala khush amdeed Amina ke ghar mein jab aamad Muhammad ki hui Char su yeh shor utha salle ala khush amdeed Khoob sadqa bat raha hai Amina ke ghar pe aaj Aaye shahe ashqiya salle ala khush amdeed Ham ghareebon ke toh bas waray hi nyaray ho gaye Dar tumhara mil gaya salle ala khush amdeed Bhar do seenay mein suroor aur aankh kar do noor noor Dil mera do jagmaga salle ala khush amdeed Qabr mein jalwa Nabi ka dekh kar Attar kaash! Bol uthay be-sakhta salle ala khush amdeed