Sadqa tum par hoon dil-o-jaan Amina
Tum ne bakhsha hum ko imaan Amina
Jo mila jis ko mila tum say mila
Deen-o-imaan, ilm-o-irfan Amina
Kul jahan ki maayein hoon tum par fida
Tum Muhammad ki banein maan Amina
Ibn-e-Maryam waqayi Rab ke Rasool
Par Muhammad ki bari shaan Amina
Jis shikam mein Mustafa hon ja-gazein
Arsh-e-azam say hai zeeshan Amina
Tum say imaan-o-amanat aur aman
Tum say faizan tum say irfan Amina
Amina ke teen ma'nay bil-yaqeen
Ba-amanat aman-o-imaan Amina
Tum say Allah-o-Muhammad hain ayan
Noor, huda hai tum mein pinhaan Amina
Hum hain momin aur tum imaan bakhsh
Chashma-e-deen tum se rawan Aamina
Teri turbat ka mujawir main banun
Phir nikalun dil ke armaan Aamina
Mahbit-e-Quran nabi hain aur tum
Ho nabi ki mohtaram maa Aamina
Hai yeh Salik aap ke dar ka faqir
Mangta hai amn-o-imaan Aamina