Is mubarak maa pe sadqa kyon na hon sab ahl-e-deen
Jo ho Ummul Momineen bint-e-Ameer-ul-Momineen
Jin ka pehlu ho Nabi ki aakhri aaram-gah
Jin ke hujray mein qayamat tak Nabi hon ja-gazein
Astaan un ka farishton ki ziyarat-gah hai
Kyunke is mein jalwa-farma hain Imam-ul-Mursaleen
Aap ke daulat-kadah mein daulat-e-darain hai
Is zameen par phir na kyon qurban ho Arsh-e-Bareen
Kya mubarak naam hai aur kaisa pyara hai laqab
Aisha mehbooba-e-mehboob-e-Rabb-ul-Aalameen
Aap Siddiqa pidar Siddiq aur shohar Nabi
Meka-o-sasural aala aap khud hain behtareen
Kyon na ho rutba tumhara ahl-e-imaan mein bada
Sab to hain momin magar hain aap Umm-ul-Momineen
Di gawahi aap ki iffat ki Surah-e-Noor ne
Madh karta hai teri ismat ki Quran-e-Mubeen
Un ke bistar mein aaye Rasool Allah par
Aur salam-e-khadmana bhi karein Rooh-ul-Ameen
Aap ka ilm-o-fiqh, tehqeeq-e-Quran-o-Hadees
Dekh kar hairan hain saare sahaba, tabieen
Naaz bardari tumhari kyun na farmade Khuda
Nazneen-e-Haq Nabi hain tum Nabi ki nazneen
Aayat-e-Tat'heer mein hai un ki paki ka bayaan
Hain yeh Bibi Tahira shohar Imam-ut-Tahireen
Salik-e-khasta tumhara go hai nalaeq magar
Ma'an buray betay ko apnay say juda karti nahin