Ek khaas museebat pe arz kiya gaya aur Allah ke fazl se foran museebat tal gayi.
Ho gaya ya Ghaus main barbaad hote aap ke
Reh gaya main be-kas-o-naashaad hote aap ke
Ghoom phir kar dekh sab darwaaze mujh par band hain
Ab kidhar jaaoon Shah-e-Baghdad hote aap ke
Karbala walon ka sadqa mujh dukhi par reham kar
Ab kahan ja kar karoon fariyaad hote aap ke
Deen chhota saare saathi chal diye munh mod kar
Reh gaya pardes mein naashaad hote aap ke
Sayyida Baghdad waale yeh madad ka waqt hai
Mujh pe kaisi pad gayi aftaad hote aap ke
Tum sakhi ibn-e-sakhi ibn-e-sakhi ho khusro
Yeh gada kis ko kare phir yaad hote aap ke
Tum Shah-e-Baghdad maula main ghulam-e-khana-zaad
Ranj-o-gham se kyun na hoon aazaad hote aap ke
Abd-e-Qadir aap hain har sheh pe qaadir aap hain
Phir kahoon kis se paye imdaad hote aap ke
Aap ka irshaad-e-aali hai Mureedi la takhaf
Ranj mein hai Saalik-e-naashaad hote aap ke
Hain mere peer lasaani Mohiuddin Jilani
Nabi ki shama' noorani Mohiuddin Jilani
Ali ke laadle noor-e-nigah-e-Hazrat-e-Zehra
Rasool-e-Allah ke jaani Mohiuddin Jilani
Laqab hai Qutb-e-Rabbani sharaf Mehboob-e-Subhani
Hai rukh qandeel-e-noorani Mohiuddin Jilani
Biladullahi Mulki Tahta Hukmi se hui saabit
Jahan mein teri sultani Mohiuddin Jilani
Azoomun Qatilun Al-Qitali shaan-e-aali hai
Nahi koi tera saani Mohiuddin Jilani
Bajuz tere Shah-e-Baghdad koi aur kya jaane
Mere dil ki pareshani Mohiuddin Jilani
Faqeer-e-Qadri mein baadshah-e-Qadri tum ho
Hoo dard-e-dil ki darmani Mohiuddin Jilani
Khushi se kar do misl-e-ward mere ghuncha-e-dil ko
Paye Sultan-e-Samnani Mohiuddin Jilani
Tumhara ik ishara ho toh mera kaam ban jaaye
Raf'a ho saari hairani Mohiuddin Jilani
Madad ka waqt hai mushkil kushayi ke liye aao
Hai bahr-e-gham mein tughyani Mohiuddin Jilani
Ghulam-e-dargah wala hai Salik phir kidhar jaaye
Sunane ranj-e-pinhani Mohiuddin Jilani