Ae bahaar-e-baagh-e-imaan marhaba sad marhaba
Ae charagh-e-bazm-e-irfan marhaba sad marhaba
Tum se ronaq-e-deen ki tum se bahaar-e-imaan ki
Hami-e-deen-e-Nabi ho ahl-e-deen ke mud'aa
Be-gumaan jaano Rasool-e-Allah se Allah ko
Rehbari se teri paya hum ne baab-e-Mustafa
Aap ki taqreer hai be-shuba tafseer-e-hadees
Aap ki tahreer hai beemari-e-dil ki dawa
Aap ke saaya mein gar aaway to magas hove huma
Aap ki chashm-e-karam se mis bhi ban jaaye tila
Kyun na ho tum pe tasadduq ahl-e-dil ahl-e-nazar
Jaansheen-e-Mustafa ho noor-e-chashm-e-Mustafa
Tum Naeem-e-deen ho Saalik faqeer-e-deen hai
Haq Ta'ala ne tumhein kiya us ko gada