Sunnaton se bhai rishta jor tu
But naye fashion se munh ko mor tu
Shadiyon mein mat gunah nadan kar
Khana barbadi ka mat saman kar
Sadgi shadi mein ho sada jahez
Jaisa Bibi Fatima ka tha jahez
Nekiyan kar jald tu badiyon se bhag
Qabr mein warna bhadak uthay gi aag
Keena Muslim se seena pak kar
Itba-e-Sahib-e-Lolaak kar
Chhor de darhi mundana hai haram
Ek mutthi se ghatana hai haram
Sunnaton par jo haqarat se hansay
Woh azab-e-daimi mein ja phansay
Chhor de saray ghalat rasm-o-riwaj
Sunnaton par chalnay ka kar ahd aaj
Khoob kar zikr-e-Khuda-o-Mustafa
Dil Madina yaad se un ki bana
Kar ata Ya Rabb gham-e-Shah-e-Umam
Bhool jayen ranj-o-gham duniya kay hum
Sunnaton ki loota ja kay mata
Hu jahan bhi sunnaton ka ijtima
Az tufail-e-Ghaus-e-Azam Ya Ghafoor
Bakhsh de hum aasiyon kay sab qusoor
Ya Khuda hai iltija Attar ki
Sunnatain apnayen sab Sarkar ki
Ya Ilahi! Apnay Shah-e-Umam
Hashr mein Attar ka rakhna bharam