Meetha Madina hai jaana zaroor hai
Jaana hamein zaroor hai jaana zaroor hai
Raah-e-Madina ke sabhi kaante hain phool se
Deewana ba-shaoor hai jaana zaroor hai
Hota hai sakht imtehaan ulfat ki raah mein
Aata magar suroor hai jaana zaroor hai
Ishq-e-Rasool dekhiye Habashi Bilal ka
Zakhmon se choor choor hai jaana zaroor hai
Pur-khar raah paon mein chhale bhi par gaye
Is mein bhi ek suroor hai jaana zaroor hai
Himmat jawab de gayi Sarkar al-madad!
Zair thakan se choor hai jaana zaroor hai
Kyun thak gaye palat gaye bhai! bataiye?
Aap ka qusoor hai jaana zaroor hai
Jo raah-e-Taiba ki hain darati soobatein
Yeh nafs ka fitoor hai jaana zaroor hai
Ushaaq ko to milti hai gham mein bhi rahat aur
Aata bada suroor hai jaana zaroor hai
Sarkar ka Madina yaqeenan bila-shuba
Qalb-o-nazar ka noor hai jaana zaroor hai
Manzar haseen-o-dilkusha un ke diyaar ka
Haan dekhna zaroor hai jaana zaroor hai
Dekhoon ga ja ke Gumbad-e-Khazra ki main bahaar
Roza watan se door hai jaana zaroor hai
Mehrab-o-mimbar aap ke doobay hain noor mein
Jali bhi noor noor hai jana zaroor hai
Chadar tani hai Gumbad-e-Khazra pe noor ki
Minar noor noor hai jana zaroor hai
Pur-noor har pahar to Taiba ki khaak ka
Har zarra rashk-e-toor hai jana zaroor hai
Shah-o-gada faqeer-o-ghani har kisi ka sar
Kham aap ke huzoor hai jana zaroor hai
Behtar isi baras ho to jaldi bulaiye
Yeh iltija huzoor hai jana zaroor hai
Marzi tumhari tum suno ya mat suno magar
Apni to rat huzoor hai jana zaroor hai
Attar qafila to gaya tum bhi uth chalo
Manzil agarcha door hai jana zaroor hai