Home/Mustafa Raza Khan Qadri/Mera ghar ghairat-e-khursheed-e-darakhshan hoga

Mera ghar ghairat-e-khursheed-e-darakhshan hoga

Written by Mustafa Raza Khan Qadri

100%
Mera ghar ghairat-e-khursheed-e-darakhshan hoga Khair se jaan-e-qamar jab kabhi mehmaan hoga Jo tabassum se ayan ek dur-e-dandan hoga Zarra zarra meray ghar ka mah-e-taban hoga Kyun mujhay khauf ho mahshar ka ke hathon mein meray Daman-e-hami-e-khud mahi-e-isyan hoga Palla-e-isyan ka garan bhi ho toh kya khauf mujhay Meray pallay pe toh woh rehmat-e-rehman hoga Mujh se aasi ko jo be-daagh chura layain ge Ahl-e-mahshar mein jo dekhay ga woh hairan hoga Koi munh mera takay ga ke yeh aasi hai Jis ko hum jantay thay dakhil-e-mizan hoga Koi us rehmat-e-alam pe tasadduq hoga Koi yeh shaan-e-karam dekh ke qurban hoga Majra dekh ke hoga yeh kisi ko sakta Ek ta'ajjub se woh angusht-e-ba-dandan hoga Un ki hairat pe kahoon ga ke ta'ajjub kya hai Khud khuda hoga jidhar Sarwar-e-Zeeshan hoga Dam nikal jaye tumhein dekh ke aasani se Kuch bhi dushwar na hoga jo yeh aasaan hoga Zakhm par zakhm yahi khaye yahi qatl bhi ho Khoon-e-muslim abhi kya is se bhi arzaan hoga Bheriyon ka hai yeh jungle nahi koi ra'i Bholi bheron ka shaha kaun nigehban hoga Zulm par zulm sahay aur sazain bhugtay Aur uff ki na khanjar-e-burran hoga Yahi andher agar aur bhi kuch roz raha Toh Musalman ka nishan bhi na numayan hoga Subh-e-roshan ki seyah bakhti se ab shaam hui Kab qamar noor-e-deh-e-shaam-e-ghariban hoga Tu agar chahay milay khaak mein Sultan-e-Zaman Tera banda koi toh chahay toh Sultan hoga Zulmat-e-qabr ka kya khauf mujhay ay Noori Jab meray qalb mein imaan ka luma'an hoga