Mere tum khwab mein aao, mere ghar roshni hogi
Mari qismat jaga jao, inayat yeh bari hogi
Madine mujh ko aana hai, gham-e-furqat mitana hai
Kab Aqa-e-Madina dar, pe meri hazri hogi
Shehanshah-e-Madina do, tarapne ka qareena do
Woh aankh Aqa inayat ho, ke jo ashkon bhari hogi
Banalo apna deewana, banalo apna mastana
Khazane mein tumhare kya, kami pyare Nabi hogi
Gham-e-doori rulata hai, Madina yaad aata hai
Tasalli rakh ae deewane, teri bhi hazri hogi
Mujhe gar deed ho jaye, to meri eid ho jaye
Tera deedar jab hoga, mujhe hasil khushi hogi
Gunahon ka sakht pehra hai, ghamon ka ghup andhera hai
Zara sa muskura do ge, to dil mein roshni hogi
Ilahi Gumbad-e-Khizra ke saye mein shahadat de
Mari laash un ke qadmon mein, na jaane kab pari hogi
Hamein bhi izn mil jaye, Sheha qadmon mein aane ka
Na jaane kab Madine mein, hamari hazri hogi
Madina mera ho maskan, Baqi-e-Pak ho madfan
Mari umeed ki kheti, na jaane kab hari hogi
Tarap kar gham ke maro tum, pukaro Ya Rasool Allah
Tumhari har museebat dekhna dam mein tali hogi
Agar woh chand se chehre, ko chamkate hue aaye
Ghamon ki sham bhi subh-e-baharan ban gayi hogi
Farishte aa chuke sar par, bachalo Shafe-e-Mehshar
Chupa daman mein lo Sarwar, saza warna kari hogi
Gunahon par nidamat hai, aur umeed-e-shafa'at hai
Karam hoga rehayi naar-e-dozakh se jabhi hogi
Sar-e-Mehshar woh jis dam jalwa-e-zaiba dikhayenge
Faza Sall-e-Ala Ya Mustafa se goonjti hogi
Woh jaam-e-kausar apne haath se bhar kar pilayenge
Karam se door-e-mehshar mein, hamari tashnagi hogi
Main ban jaaun sarapa "Madani Inamaat" ki tasweer
Banun ga nek ya Allah agar rehmat teri hogi
Rahun har dam musafir kaash "Madani qafilon" ka main
Karam hojaye Maula! agar, inayat yeh badi hogi
Zaban ka, aankh ka aur pait ka qufl-e-Madina tum
Laga lo warna mehshar, mein pashemani badi hogi
Mujhe jalwa dikha dena mujhe kalma padha dena
Ajal jis waqt sar par ya Nabi! mere khadi hogi
Andhera ghap andhera hai, shaha wehshat ka dera hai
Karam se qabr mein tum aaoge toh roshni hogi
Mere marqad mein jab Attar woh tashreef layenge
Labon par naat-e-Shah-e-Anbiya us dam saji hogi