Mili taqdeer se mujh ko Sahaba ki sana khwani
Mila hai faiz-e-Usmani, mila hai faiz-e-Usmani
Rakha mahsoor un ko band un par kar diya paani
Shahadat-e-Hazrat-e-Usman ki beshak hai lasani
Nabi ke noor do le kar woh Zun-Nurain kehlaye
Inhein hasil hui yun qurbat-e-Mehboob-e-Rahmani
Nabi ne tere badlay 'Bai'at-e-Rizwan' mein ki bai'at
Kaha Quran ne dast-e-Nabi ko dast-e-Yazdani
Tumhein ko Jami-e-Quran ka Haq ne diya mansab
Ata Quran ko kar ke jam'a ki ummat ko aasani
Khuda bhi aur Nabi bhi khud Ali bhi is se hain naraz
Adu un ka uthaye ga qayamat mein pareshani
Adawat aur kaina in se jo rakhta hai seenay mein
Wohi badbakht hai mal'oon hai mardood-e-Shaitani
Ham in ki yaad ki dhoomein machayein ge qayamat tak
Paray ho jayein jal kar khaak sab a'da-e-Usmani
Imam-ul-Ashqiya! kar do ata hissa-e-sakhawat ka
Qana'at ho inayat, dein na daulat ki farawani
Mujhe apni sakhawat ke samundar se koi qatra
Ata kar do nahi darkar mujh ko taj-e-sultani
Ulu-e-shan ka kyun kar bayan ho Aap ki pyaray
Haya karti hai Maula Aap se makhlooq-e-noorani
Sukhan aa kar Attar ka itmam ko pohancha
Teri azmat pe natiq ab bhi hain ayaat-e-Qurani