Mita de sari khataein meri mita Ya Rab
Banade nek bana nek de bana Ya Rab
Banade mujhko Ilahi khuloos ka paikar
Qareeb aaye na mere kabhi riya Ya Rab
Andheri qabr ka dil se nahi nikalta darr
Karunga kya jo tu naraz ho gaya Ya Rab
Gunahgar hoon mein laiq-e-jahannam hoon
Karam se baksh de mujhko na de saza Ya Rab
Buraiyon pe pashiman hoon reham farma de
Hai tere qahar pe hawi teri ata Ya Rab
Muheet-e-dil pe hua haye nafs-e-ammara
Dimagh par mere ibrees cha gaya Ya Rab
Rehai mujhko mile kash! ins-o-shaitan se
Tere habib ka deta hoon wasta Ya Rab
Gunah be-adad aur jurm bhi la-tadaad
Muaf kar de na seh paunga saza Ya Rab
Mein kar ke tauba palat kar gunah karta hoon
Haqiqi tauba ka kar de sharaf ata Ya Rab
Sunoon na fuhsh kalami na ghibat-o-chughli
Teri pasand ki baatein faqat suna Ya Rab
Karein na tang khayalat-e-bad kabhi, kar de
Shaoor-o-fikr ko pakeezgi ata Ya Rab
Nahi hai namah-e-Attar mein koi neki
Faqat hai teri hi rehmat ka aasra Ya Rab