Mita mere ranj-o-alam Ya Ilahi, ata kar mujhe apna gham Ya Ilahi
Sharab-e-mohabbat kuch aisi pila de, kabhi bhi nasha ho na kam Ya Ilahi
Mujhe apna aashiq bana kar bana de, tu sartapa tasveer-e-gham Ya Ilahi
Faqat tera talib hoon hargiz nahin hoon, talabgar-e-jah-o-hasham Ya Ilahi
Na de taj-e-shahi na de badshahi, bana de gada-e-haram Ya Ilahi
Jo ishq-e-Muhammad mein aansu bahaye, ata kar de woh chashm-e-nam Ya Ilahi
Sharaf-e-haj ka de de chalay qafila phir, mera kaash! su-e-haram Ya Ilahi
Dikha de Madinay ki galiyan dikha de, dikha de Nabi ka haram Ya Ilahi
Chalay jaan is shaan se kaash yeh sar, dar-e-Mustafa par ho kham Ya Ilahi
Mera sabz gumbad ke saye mein niklay, Muhammad ke qadmon mein dam Ya Ilahi
Ibadat mein lagta nahin dil hamara, hain isyan mein badmast hum Ya Ilahi