Muaf fazl-o-karam se ho har khata Ya Rab
Ho maghfirat paye Sultan-e-Ambiya Ya Rab
Bila hisab ho jannat mein dakhla Ya Rab
Pados khuld mein Sarwar ka ho ata Ya Rab
Nabi ka sadqa sada ke liye tu raazi ho
Kabhi bhi hona na naraz Ya Khuda Ya Rab
Tere habib agar muskurate aa jayein
To bilyaqeen uthe qabr jagmaga Ya Rab
Khuan phatak na sake paas, de bahar aisi
Rahe hayat ka gulshan hara bhara Ya Rab
Hamare dil se nikal jaye ulfat-e-dunya
De dil mein ishq-e-Muhammad mere racha Ya Rab
Nabi ki deed hai eid ya Allah
Ata ho khwab mein deedar-e-Mustafa ya Rab!
Tere habib ki sunnat ki dhoom mach jaye
Gali gali mein phire "Madani Qafila" ya Rab!
Meri zaban pe "Qufle Madina" lag jaye
Fuzool goi se bachta rahoon sada ya Rab
Uthay na aankh kabhi bhi gunah ki janib
Ata karam se ho aisi mujhe haya ya Rab
Kisi ki khamiyan dekhein na meri aankhein aur
Sunain na kaan bhi aibon ka tazkira ya Rab
Talain na hashr mein Attar ke amal Maula
Bila hisab hi tu usko bakshna ya Rab