Mubarak ho woh sheh parday se bahar aanay wala hai
Gadaai ko zamana jis ke dar par aanay wala hai
Chakoron se kaho mah-e-dil-ara hai chamaknay ko
Khabar zarron ko do mehr-e-munawwar aanay wala hai
Faqiron se kaho hazir hon jo maangain ge payain ge
Ke sultan-e-jahan mohtaj parwar aanay wala hai
Kaho parwanon se sham-e-hidayat ab chamakti hai
Khabar do bulbulon ko woh gul-e-tar aanay wala hai
Kahan hain tooti umeedain kahan hain be-saharay dil
Ke woh faryad ras be-kas ka yawar aanay wala hai
Thikana be-thikanon ka sahara be-saharon ka
Ghareebon ki madad be-kas ka yawar aanay wala hai
Bar ayain gi muradain ho jayain gi poori
Ke woh mukhtar-e-kul alam ka sarwar aanay wala hai
Mubarak dard mandon ko ho muzda be-qararon ko
Qarar-e-dil, shakeeb-e-jaan, muztar aanay wala hai
Gunahgaro na mayoos tum apni rihayi se
Madad ko woh Shafee-e-roz-e-mehshar aane wala hai
Tujh ko laye na kyun taron ko shauq-e-jalwa-e-aariz
Ke woh maah-e-dil-aara ab zameen par aane wala hai
Kahan hain badshahan-e-jahan aayen salami ko
Ke ab farman-rawa-e-haft-kishwar aane wala hai
Salateen-e-zamana jis ke dar par bheek mangenge
Fakeeron ko mubarak woh tawanggari aane wala hai
Yeh saman ho rahe the muddato se jis ki aamad ke
Wohin noshah-e-ba-sad-shaukat-o-farr aane wala hai
Woh aata hai ke hai jis ka fidai aalam-e-bala
Woh aata hai ke dil aalam ka jis par aane wala hai
Na kyun zarron ko ho farhat ke chamka akhtar-e-qismat
Sahar hoti hai khursheed-e-munawwar aane wala hai
Hassan keh de uthein sab ummati tazeem ki khatir
Ke apna peshwa apna payambar aane wala hai