Muddat se mere dil mein hai arman-e-madina, rauze pe bula lijiye sultan-e-madina
ae kaash! pahunch ke dar-e-janan-e-madina, ho jaun main sau jaan se qurban-e-madina
aate hain muqaddar ke sikandar tere dar par, be-izn ho kaise koi mehman-e-madina
aag aisi laga dijiye qalb-o-jigar mein, rota rahoon tarpa karoon ae jaan-e-madina
gulzar yahan ke ise achhe nahin lagte, aankhon mein samaye hain biyaban-e-madina
ab sindh ke jungle mein mera ji nahin lagta, bas mujh ko bula lijiye gulistan-e-madina
duniya ke nazare hamein ek aankh na bhayen, nazron mein basein kaash! biyaban-e-madina
london koi japan chala maal kamane, deewana chala soye biyaban-e-madina
duniya ka koi shehar ho kis tarah mumasil? jab khuld-e-bareen bhi nahin ham-shan-e-madina
kar dijiye deedar se aankhein mari thandi, ae jaan-e-jahan sayyid-o-sultan-e-madina
ae kaash! muballigh main banoon deen-e-mubeen ka, sarkar! karam az paye hassan-e-madina
qadmon mein bula lijiye badkar ko aaqa, aur is ko bana lijiye mehman-e-madina
attar ko daulat na hukumat ki talab hai, deede baqi is ko to sultan-e-madina