Home/Mustafa Raza Khan Qadri/Mufti-e-Azam Bari Sarkar Hai

Mufti-e-Azam Bari Sarkar Hai

Written by Mustafa Raza Khan Qadri

100%
Mufti-e-Azam bari sarkar hai, jabke adna sa gada Attar hai. Mufti-e-Azam se hum ko pyar hai, in-sha-Allah apna beera paar hai. Mufti-e-Azam Raza ka ladla, aur muhib-e-Sayyid-e-Abrar hai. Aalim-o-Mufti Faqih-e-be-badal, khoob khush-akhlaq-o-bakardar hai. Tajdar-e-Ahle-Sunnat-e-Almado, banda dar-e-bekas-o-nachar hai. Takht-e-shahi kya karun mere liye, taj-e-izzat aap ki pizar hai. Aala Hazrat ka rahoon main ba-wafa, istiqamat ki dua darkar hai. Aastane par khada hai ik gada, talib-e-ishq-e-shah-e-abrar hai. Muskura kar ik nazar gar dekh lo, meri sham-e-gham abhi gulzar hai. Mere dil ko shad farma dijiye, ranj-o-gham ki qalb par yalghar hai. Sayyidi Ahmad Raza ka wasta, tera mangta talib-e-deedar hai. Hoon gunahon ke marz se neem jaan, dard-e-isiyan ki dawa darkar hai. Hath phaila kar muraden maang lo, sailon un ka sakhi darbar hai. In-sha-Allah maghfirat ho jayegi, ae wali! teri dua darkar hai. Khoob khidmat sunnaton ki main karun, Sayyidi teri dua darkar hai. Kash Noori ke sagon mein ho shumar, yeh tamanna-e-dil-e-Attar hai. Mufti-e-Azam bari sarkar hai jabke adna sa guda Attar hai Mufti-e-Azam se hum ko pyar hai in-sha-Allah apna bera paar hai Mufti-e-Azam Raza ka ladla aur muhib-e-Sayyid-e-Abrar hai Alim o Mufti, Faqih-e-be-badal khoob khush-akhlaq o ba-kirdar hai Tajdar-e-Ahl-e-Sunnat al-madad banda-e-dar be-kas o nachar hai Takht-e-shahi kya karoon mere liye taj-e-izzat aap ki pezar hai Aala Hazrat ka rahoon main ba-wafa istiqamat ki dua darkar hai Aastane par khara hai ek guda talib-e-ishq-e-Shah-e-Abrar hai Muskura kar ek nazar gar dekh lo meri sham-e-gham abhi gulzar hai Mere dil ko shad farma dijiye ranj o gham ki qalb par yalghar hai Sayyid-e-Ahmad Raza ka wasta tera mangta talib-e-deedar hai Hoon gunahon ke marz se neem jaan dard-e-isiyan ki dawa darkar hai Hath phela kar muraden mang lo sailon un ka sakhi darbar hai In-sha-Allah maghfirat ho jayegi ae wali! teri dua darkar hai Khoob khidmat sunnaton ki main karoon Sayyidi teri dua darkar hai Kash! Noori ke sagon mein ho shumar Yeh tamannaye dil-e-Attar hai