Mujh ko darpesh hai phir mubarak safar qafila ab Madine ka tayyar hai
Nekiyon ka nahi tosha faqad meri jholi mein ashkon ka ek haar hai
Kuch na sajdon ki soghat hai aur na kuch zuhd-o-taqwa mere paas Sarkar hai
Chal pada hoon Madine ki janib magar haaye sar par gunahon ka anbaar hai
Jurm-o-isyan pe apne lajawa hua aur ashk-e-nadamat bahata hua
Teri rahmat pe nazrein jamata hua dar pe hazir yeh tera gunahgar hai
Tera sani kahan! Shah-e-Kon-o-Makan mujh sa aasi bhi ummat mein hoga kahan!
Tere afv-o-karam ka Shah-e-Do Jahan! kya koi mujh se badh kar bhi haqdar hai?
Ya Nabi! tujh pe lakhon durood-o-salam is pe hai naaz mujh ko hoon tera ghulam
Apni rahmat se Tu Shah-e-Khair-ul-Anam mujh se aasi ka bhi naaz-bardar hai
Mujrimon ko Shaha! bakhshwata hai Tu apni ummat ki bigdi banata hai Tu
Gham ke maron ko seene lagata hai Tu ghamzadon be-kason ka Tu ghamkhar hai
Sarwar-e-Anbiya Rahmat-e-Dosra Tu hi mushkil kusha Tu hi haajat rawa
Jab bhi sar par mere koi tooti bala izn-e-Rab se Tu mera madadgar hai
Zer-e-jism-e-mubarak kabhi boriya hath takiya hai bistar kabhi khaak ka
Jaan-o-dil saadgi pe hon us ki fida jo ke sare rasoolon ka sardar hai
Do tadapne ka Aqa qareena mujhe de do khasta jigar chaak seena mujhe
Chashm-e-tar de do Shah-e-Madina mujhe tere gham ka yeh banda talabgar hai
Thokrein dar-ba-dar tak ab khaoon mein phir Madine muqaddar se jab aaon mein
Kaash! qadmon mein Sarkar mar jaon mein Ya Nabi! yeh tamannaye badkar hai
Sunnatain Mustafa ki Tu apnaye ja deen ko khoob mehnat se phailaye ja
Yeh wasiyat Tu Attar pahunchaye ja us ko jo un ke gham ka talabgar hai