Mujh pe chashm-e-shifa kijiye door baar-e-gunah kijiye
Aah! isyan ki tughyanian ab madad nakhuda kijiye
Ho gaya qalb haye siyah lutf noor-e-Khuda kijiye
Koshishon se bhi chhoot-te nahin in gunahon ka kya kijiye
Haye isyan ne tori kamar kuch mera, Mustafa kijiye
Maal ke jaal mein phans gaya mujh ko Aqa raha kijiye
Baar-e-isyan tale dab gaya aap aakar khara kijiye
Dard-e-isyan se mujh ko shifa ae Masiha! ata kijiye
Qalb-e-patthar se bhi sakht hai is ko narmi ata kijiye
Chara-gar chhor kar chal diye chara la dawa kijiye
Jagmaga de qalb-e-siyah lutf-e-Badr-ud-Duja kijiye
Ab gunahon ki aadat chhoote chashm-e-rehmat shaha kijiye
Ab karam soye khasta jigar Shah-e-Arz o Sama kijiye
Chand chehra uthaoon, soye dil ik ishara zara kijiye
Hubb-e-dunya ki masti sawar ho gayi kuch mera kijiye
Chashm-e-rehmat Habeeb-e-Khuda soye be-dast o pa kijiye
Ya Nabi! aap hi kuch ilaj nafs o shaitan ka kijiye
Raah bhoola karwan rehbari rehnuma kijiye
Deen par istiqamat ata az tufail-e-Raza kijiye
Misal-e-bismil tarapta rahoon dard aisa ata kijiye
Sunnaton ki baharein ata Ya Habeeb-e-Khuda kijiye
Bhaiyo! gar sukoon chahiye sunnaton par chala kijiye
Deen ke waste dekhe waqt aakhirat ka bhala kijiye
Sunnatain seekhne ke liye qafilon mein chala kijiye
Chahte ho ke raazi ho Rab Mustafa ka kaha kijiye
Un ki yaadon mein kho jaye Mustafa Mustafa kijiye
Mujh ko Aqa ata apna ishq aur khauf-e-Khuda kijiye
Ahl-e-Imaan ko faiz se pak Mustafa kijiye
Ho khazan door aaye bahaar dil ka gulshan hara kijiye
Kaash! Attar ki maghfirat ho karam sarwara kijiye